Talash-e-rang Mein Aawara Misl-e-bu Hun Main
talash-e-rang mein aawara misl-e-bu hun main
guzar ke aap se apni hi justuju hun main
nafas hai saKHti-e-qaid-e-hayat ka zamin
nikal sake jo na phansi se wo gulu hun main
nishan-e-hasti fani hai dagh-e-nakaami
KHud apni aankh se Tapka hua lahu hun main
misal-e-paikar-e-simab-e-iztirab mudam
pa-e-nigah-e-karam sharh-e-arzu hun main
meri zaban pe hain andesha-ha-e-nakaami
samajh rahe wo dil mein ki hila-ju hun main
abhi hai aab-e-nadamat sar-e-jabin baqi
namaz aise main paDh lun ki ba-wazu hun main
hun kuchh na hone pe bhi kaenat ka hasil
ki apna shauq nahin teri aarzu hun main
misal-e-mani-e-be-lafz-o-lafz-e-be-mani
jo tere dil mein nahin hai wo 'arzu' hun main
(792) Peoples Rate This