Qurbat BaDha BaDha Kar Be-KHud Bana Rahe Hain
qurbat baDha baDha kar be-KHud bana rahe hain
main dur haT raha hun wo pas aa rahe hain
eajaz-e-pak-bazi hairat mein la rahe hain
dil mil gaya hai dil se pahlu juda rahe hain
wo dil se gham bhula kar dil ko lubha rahe hain
guzre hue zamane phir phir ke aa rahe hain
sine mein zabt-e-gham se chhaala ubhar raha hai
shoale ko band kar ke pani bana rahe hain
mani na puchh zalim is uzr-e-be-gunah ke
apne ko awwal de kar tujh ko bacha rahe hain
ai be-KHudi kahan hai jaldi meri KHabar le
bhule the jo ba-mushkil phir yaad aa rahe hain
len kaam zabt se kya ulTa hai dil ka phoDa
utna ubhar raha hai jitna daba rahe hain
furqat mein saz-e-rahat saman azab ka hai
ThanDi hawa ke jhonke kya ji jala rahe hain
hain husn ke karishme kya inqalab-agin
gham-KHwar jo the kal tak ab KHar kha rahe hain
KHud in ki justuju mein hum dur bhage warna
wo kab alag rahe hain wo kab juda rahe hain
le le ke ThanDi sansen puchho na haal dekho
tum bhed kholte ho aur hum chhupa rahe hain
dekh 'arzu' ye rona shana hila hila kar
tu aaj KHwab mein hai aur wo jaga rahe hain
(797) Peoples Rate This