Pher Jo PaDna Tha Qismat Mein Wo Hasb-e-mamul PaDa
pher jo paDna tha qismat mein wo hasb-e-mamul paDa
KHanda-e-gul se uDa wo sharara KHirman-e-dil par phul paDa
dekh idhar o nind ke mate kis ki achanak yaad aai
bich se TuTi hai angDai hath uThte hi jhul paDa
husn-o-ishq ki an-ban kya hai dil ke phansane ka phanda
apne hathon KHud aafat mein ja ke ye na-maqul paDa
kaun kahe qismat palTi ya mat palTi sailani ki
rasta kaT ke jaane wala aaj idhar bhi bhul paDa
haal nahin jine ke qabil aas nahin marne deti
eDiyan ragDe aaKHir kab tak KHak par ek maqtul paDa
jitne husn-abaad mein pahunche hosh-o-KHirad kho kar pahunche
mal bhi to itne ka nahin ab jitna kuchh mahsul paDa
rah-e-wafa thi TeDhi bigDi thi har gam uftad nai
panw kisi ka TuT gaya aur hath kisi ka jhul paDa
bagh mein gulchin hai na hai mali bijli hai na falak pe sahab
ahd-e-KHizan mein jala hai nasheman aa ke kahan se phul paDa
panw ki taqat taq hui to band ki aankh aur ja pahunche
'arzu' us ko KHub kiya kam raste mein jo tul paDa
(714) Peoples Rate This