Mujhko Dil Qismat Ne Usko Husn-e-ghaarat-gar Diya
mujh ko dil qismat ne us ko husn-e-ghaarat-gar diya
chur kar de kyun na wo shisha jise patthar diya
us se talib hun diyat ka aap se matlab nahin
jis ne gardan ek ko di ek ko KHanjar diya
tha mukafat-e-amal ahbab ka husn-e-amal
ye bhi aisa qarz tha jo aur se le kar diya
ab na hai fikr-e-hifazat aur na ziq-e-raf-e-kar
dene wale ne diya aur meri KHwahish bhar diya
girya-e-be-iKHtiyar-e-gham bhi tha fitri ilaj
jis ne thoDe josh ko har martaba kam kar diya
jis mein kaif-e-gham nahin baz aae aise dil se hum
ye bhi duniya hai koi mai to na di saghar diya
'arzu' ek roz Dha deta mujhe mera hi zor
ye bhi us ki karsazi dil mein jis ne Dar diya
(982) Peoples Rate This