Mere Josh-e-gham Ki Hai Ajab Kahani
mere josh-e-gham ki hai ajab kahani
kabhi uThta shoala kabhi bahta pani
hai KHushi ka sauda KHalish-e-nihani
hai jigar ka chhaala samar-e-jawani
jo KHushi hai fani to hai gham bhi fani
na ye jawedani na wo jawedani
azali mohabbat abadi kahani
ki pas-e-fana hai nai zindagani
sitam-o-raza mein ye hai ahd-e-mohkam
jo teri kahani wo mari kahani
wo uThenge tufan ki KHuda bachae
ye nae nazare ye bhari jawani
ye nigah tirchhi ye bal abruon ka
har ada hai dilkash magar imtihani
meri kashti-e-dil dam-e-ah-o-afghan
kabhi baadbani to kabhi dahani
dar-e-dil se palTa har ek aane wala
teri yaad kya thi meri pasbani
ye tera talawwun ye badalti chitwan
ajab ek bala hai ki hai na-gahani
meri kisht-e-dil par pa-e-zhaala-bari
hai saped baadal aqab-e-jawani
kabhi aarzu tha yahi dagh-e-hasrat
mujhe jo bana de teri mehrbani
(863) Peoples Rate This