Masum Nazar Ka Bhola-pan Lalcha Ke Lubhana Kya Jaane
masum nazar ka bhola-pan lalcha ke lubhana kya jaane
dil aap nishana banta hai wo tir chalana kya jaane
kah jati hai kya wo chin-e-jabin ye aaj samajh sakte hain kahin
kuchh sikha hua to kaam nahin dil naz uThana kya jaane
chaTki jo kali koyal kuki ulfat ki kahani KHatm hui
kya kis ne kahi kya kis ne suni ye bata zamana kya jaane
tha dair-o-haram mein kya rakha jis samt gaya Takra ke phira
kis parde ke pichhe hai shoala andha parwana kya jaane
ye zora-zori ishq ki thi fitrat hi jis ne badal Dali
jalta hua dil ho kar pani aansu ban jaana kya jaane
sajdon se paDa patthar mein gaDha lekin na miTa mathe ka likha
karne ko gharib ne kya na kiya taqdir banana kya jaane
aankhon ki andhi KHud-gharzi kahe ko samajhne degi kabhi
jo nind uDa de raaton ki wo KHwab mein aana kya jaane
patthar ki lakir hai naqsh-e-wafa aaina na jaano talwon ka
lahraya kare rangin-shoala dil palTe khana kya jaane
jis nale se duniya bekal hai wo jalte dil ki mashal hai
jo pahla luka KHud na sahe wo aag lagana kya jaane
hum 'arzu' aae baiThe hain aur wo sharmae baiThe hain
mushtaq-nazar gustaKH nahin parda sarkana kya jaane
(957) Peoples Rate This