Kyun Kisi Rah-rau Se Puchhun Apni Manzil Ka Pata
kyun kisi rah-rau se puchhun apni manzil ka pata
mauj-e-dariya KHud laga leti hai sahil ka pata
hai nishan-e-laila-e-maqsud mahmil ka pata
dilruba hath aa gaya paya jahan dil ka pata
rah-e-ulfat mein samajh lo dil ko gunga rahnuma
sath hai aur de nahin sakta hai manzil ka pata
kahta hai naseh ki wapas jao aur main sada-lauh
puchhta hun KHud usi se ku-e-qatil ka pata
rahbar rahzan na ban jae kahin is soch mein
chup khaDa hun bhul kar raste mein manzil ka pata
aai ek aawaz-e-tir aur nikli dil se uf
phir na qatil ka nishan paya na bismil ka pata
banki-chitwan wale mahshar mein hazaron hain to hon
mil hi jaega kisi surat se qatil ka pata
us jagah bismil ne dam toDa jahan ki KHak thi
yun lagate hain lagane wale manzil ka pata
puchhne wale ne ye puchha ki kyun be-dil ho kyun
aur mujh ko mil gaya khoe hue dil ka pata
maujen Takrai huin dushman bhi niklin dost bhi
pichhe kashti ko Dhakela de ke sahil ka pata
rah gaya hai TuT kar zaKHm-e-jigar mein tir-e-naz
ab laga lena nahin dushwar qatil ka pata
soKHta parwane kushta shama farsh-e-daghdar
de rahe hain raat ki garmi-e-mahfil ka pata
main wafa-kesh 'arzu' aur wo wafa-na-ashna
paD gaya mushkil mein pa kar apni mushkil ka pata
(808) Peoples Rate This