Kisi Guman-o-yaqin Ki Had Mein Wo ShoKH-e-parda-nashin Nahin Hai
kisi guman-o-yaqin ki had mein wo shoKH-e-parda-nashin nahin hai
jahan na samho usi jagah hai jahan samajh lo wahin nahin hai
tumhaara wada hai kaisa wada ki jis ka dil ko yaqin nahin hai
nagin-e-be-naqsh to hazaron ye naqsh hai aur nagin nahin hai
tasawwuron ke fareb uTha kar mushahida wahm ban raha hai
nazar ne khae hain itne dhoke ki dekh kar bhi yaqin nahin hai
talawwun ek jazr-o-mad hai KHud hi thapeDon mein aa phansi hai kashti
KHabar hai muddat ke Dube dil ki ki aaj tak tah-nashin nahin hai
ye kahti hai gardish-e-zamana qadam thamenge na ab kisi ja
hai ye bhi ek aasman ka TukDa teri gali ki zamin nahin hai
wafa ki hami hamiyyat un ki harif-e-ummid ghairat un ki
nigahen iqrar kar rahi hain zaban pe lekin nahin nahin hai
hua jo ek dil ka dagh raushan to ho gae kul charagh raushan
KHayal raushan dimagh raushan bas ab andhera kahin nahin hai
sarishk-e-KHunin ka kul fasana lapeT rakha hai ek waraq mein
nichoDne par lahu na Tapke to aastin aastin nahin hai
hamari nakaami-e-wafa ne zamane ki khol di hain aankhen
charagh kab ka bujha paDa hai magar andhera kahin nahin hai
mujhi pe kya hai nahin hai kis mein ye but-tarashi ye but-parasti
agar na husn-e-nazar se dekho to koi bhi phir hasin nahin hai
rah-e-itaat mein 'arzu' ne qadam qadam pe kiye hain sajde
jo aap ka naqsh-e-pa nahin hai wo us ka naqsh-e-jabin nahin hai
(2427) Peoples Rate This