Kis Mast Ada Se Aankh LaDi Matwala Bana Lahra Ke Gira
kis mast ada se aankh laDi matwala bana lahra ke gira
aage to hain rahen aur kaThin dil pahle hi Thokar kha ke gira
aage jo baDha tharrae qadam wo hans jo diye sharma ke gira
behosh nahin hoshyar tha main uThne ka sahaara pa ke gira
dil shauq ke josh mein dauD chala aur josh to hota hai andha
dar band paDa tha qismat ka Takkar jo lagi teyora ke gira
jitni bhi dil ki zarurat thi bas utni hi himmat-o-taqat thi
raste ki khakheDen jhel gaya pas aate hi main chakra ke gira
kya ishq ki manzil bhi hai kaDi bandh bandh kar himmat TuT gai
jo ek qadam chal kar sambhla wo do qadam aage ja ke gira
sulgi hui hai gham ki bhaTTi dil kyun na pighal ke bane pani
jo qatra aansu ho ke baha lahra ke chala teyora ke gira
wo nala falak se Takraya wo 'arzu' ek tara TuTa
dushman ki taraf jo lapka tha shoala wo mujhi par aa ke gira
(790) Peoples Rate This