Jahan Ki Hai Jurm Ek Nigah Karna
jahan ki hai jurm ek nigah karna
wahin hai gunah pe DaT ke gunah karna
buton se baDha ke mel nibah karna
jahan ke safed ko he siyah karna
sikhaya hai mujh ko is meri be-kasi ne
usi ko sitam ka us ke gawah karna
lubhane se dil ke tha to ye muddaa tha
gharib ki zindagi ko tabah karna
yahi to hai han yahi wo ada-e-masum
alag hui jo sikha ke gunah karna
jafa se bhi len maza na wafa ka kyunkar
hamein to har ek tarah hai nibah karna
ye kahta hai chashm-e-hosh-ruba ka jadu
tujhe tere hath se hai tabah karna
teri nazar se sikha hai aah-e-dil ne
jigar mein shigaf Dal ke rah karna
nazar mein nazar gaDae hai yun wo zalim
ki 'arzu' ab kaThin hai ek aah karna
(801) Peoples Rate This