Har Sans Hai Ek Naghma Har Naghma Hai Mastana
har sans hai ek naghma har naghma hai mastana
kis darja dukhe dil ka rangin hai afsana
jo kuchh tha na kahne ka sab kah gaya diwana
samho to mukammal hai ab ishq ka afsana
do zindagiyon ka hai chhoTa sa ye afsana
lahraya jahan shoala andha hua parwana
in ras bhari aaankhon se masti jo Tapakti hai
hoti hai nazar saqi dil banta hai paimana
virane mein diwana ghar chhoD ke aaya tha
jab hoga na diwana ghar DhunDhega virana
afsana gham-e-dil ka sunne ke nahin qabil
kah dete hain sab hans kar diwana hai diwana
jab ishq ke maron ka pursan hi nahin koi
phir donon barabar hain basti ho ki virana
ye aag mohabbat ki pani se nahin bujhti
phir shama se ja lipTa jalta hua parwana
(707) Peoples Rate This