Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_484d671f320730a079957723e7b29340, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Gore Gore Chand Se Munh Par Kali Kali Aankhen Hain - Arzoo Lakhnavi Poetry In English - Darsaal

Gore Gore Chand Se Munh Par Kali Kali Aankhen Hain

gore gore chand se munh par kali kali aankhen hain

dekh ke jin ko nind aa jae wo matwali aankhen hain

munh se palla kya sarkana is baadal mein bijli hai

sujhti hai aisi hi nahin jo phuTne wali aankhen hain

chah ne andha kar rakkha hai aur nahin to dekhne mein

aankhen aankhen sab hain barabar kaun nirali aankhen hain

be jis ke andher hai sab kuchh aisi baat hai us mein kya

ji ka hai ye bawla-pan ya bholi-bhaali aankhen hain

'arzu' ab bhi khoTe khare ko kar ke alag hi rakh dengi

un ki parakh ka kya kahna hai jo Teksali aankhen hain

(878) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gore Gore Chand Se Munh Par Kali Kali Aankhen Hain In English By Famous Poet Arzoo Lakhnavi. Gore Gore Chand Se Munh Par Kali Kali Aankhen Hain is written by Arzoo Lakhnavi. Read famous Poem Gore Gore Chand Se Munh Par Kali Kali Aankhen Hain for youth and Student by Arzoo Lakhnavi. Free Download Gore Gore Chand Se Munh Par Kali Kali Aankhen Hain in PDF.