Ganwa Ke Dil Sa Guhar Dard-e-sar KHarid Liya

ganwa ke dil sa guhar dard-e-sar KHarid liya

bahut garan tha ye sauda magar KHarid liya

amin-e-ishq ne dil-e-be-KHatar KHarid liya

ye aaina ma-e-aina-gar KHarid liya

ghazab tha ishq ka sauda ki ahl-e-hosh ne bhi

jo kuchh nasib tha sab bech kar KHarid liya

bhala ho gham ki tunuk-zarfi-e-tabiat ka

agarche baat ganwa di asar KHarid liya

rah-e-raza mein hai KHuni-kafan se shan-e-shahid

to jaan bech ke raKHt-e-safar KHarid liya

jo dil kahe na kahun wo jo tu kahe wo kahun

to kya zamir bhi ai hila-gar KHarid liya

talash-e-aish mein ai 'arzu' hai ranj hi ranj

sitam-nasib ye kya dard-e-sar KHarid liya

(777) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ganwa Ke Dil Sa Guhar Dard-e-sar KHarid Liya In English By Famous Poet Arzoo Lakhnavi. Ganwa Ke Dil Sa Guhar Dard-e-sar KHarid Liya is written by Arzoo Lakhnavi. Read famous Poem Ganwa Ke Dil Sa Guhar Dard-e-sar KHarid Liya for youth and Student by Arzoo Lakhnavi. Free Download Ganwa Ke Dil Sa Guhar Dard-e-sar KHarid Liya in PDF.