Dur The Hosh-o-hawas Apne Se Bhi Begana Tha
dur the hosh-o-hawas apne se bhi begana tha
un ko bazm-e-naz thi aur mujh ko KHalwat-KHana tha
khinch laya tha ye kis aalam se kis aalam mein hosh
apna haal apne liye jaise koi afsana tha
chhoTe chhoTe do waraq jal jal ke daftar ban gae
dars-e-hasrat de raha tha jo par-e-parwana tha
jaan kar warafta un ke chheDne ki der thi
phir to dil ek hosh mein aaya hua diwana tha
zau-fishan hone laga jab dil mein husn-e-KHud-numa
phir to kaba 'arzu' kaba na tha but-KHana tha
(818) Peoples Rate This