Dil Mukaddar Hai Aaina-ru Ka
dil mukaddar hai aaina-ru ka
na mila rang se pata bu ka
hai dam-e-subh wo KHumarin aankh
ek TuTa tilism jadu ka
kam jo Thahre jafa se meri wafa
to ye pasang hai taraazu ka
dil ki bechainiyan KHuda ki panah
takiya haT haT gaya hai pahlu ka
kahin jati bahaar rukti hai
daman aaya na hath mein bu ka
hai nai qaid ab ye aazadi
zor TuTa hua hai bazu ka
aandhi aahon ki sail ashkon ki
ab nahin koi apne qabu ka
qahqaha bharti hai surahi kya
zarf KHum se siwa hai chullu ka
soti qismat ki nind uDawega
narm takiya kisi ke zanu ka
ishq-bazi hai jaan ki jokham
wahin mara paDa jahan chuka
'arzu' dil hai waqf-e-bim-o-umid
jhilmilata charagh jugnu ka
(841) Peoples Rate This