Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_d296e5dca0b0696baa1628d2d9141e2e, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Dil Mein Yaad-e-but-e-be-pir Liye BaiTha Hun - Arzoo Lakhnavi Poetry In English - Darsaal

Dil Mein Yaad-e-but-e-be-pir Liye BaiTha Hun

dil mein yaad-e-but-e-be-pir liye baiTha hun

yani ek zulm ki taswir liye baiTha hun

aah mein dard ki tasir liye baiTha hun

dil mein ek KHun bhara tir liye baiTha hun

ek zara si KHalish-e-dard-e-jigar par ye ghamanD

jaise kul ishq ki jagir liye baiTha hun

hai mujhe saz-e-tarab soKHta-samani-e-dil

parda-e-KHak mein iksir liye baiTha hun

chur shishe pe nazar paDte hi dil yaad aaya

miTne wale teri taswir liye baiTha hun

qaid ko toD ke samjha ki sahaara toDa

hath mein panw ki zanjir liye baiTha hun

'arzu' ho chuki sau martaba duniya bedar

aur main soi hui taqdir liye baiTha hun

(917) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Mein Yaad-e-but-e-be-pir Liye BaiTha Hun In English By Famous Poet Arzoo Lakhnavi. Dil Mein Yaad-e-but-e-be-pir Liye BaiTha Hun is written by Arzoo Lakhnavi. Read famous Poem Dil Mein Yaad-e-but-e-be-pir Liye BaiTha Hun for youth and Student by Arzoo Lakhnavi. Free Download Dil Mein Yaad-e-but-e-be-pir Liye BaiTha Hun in PDF.