Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_1fc90c8dd2aeef3eba2ecbfd3e908552, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Baghaur Dekh Raha Hai Ada-shanas Mujhe - Arzoo Lakhnavi Poetry In English - Darsaal

Baghaur Dekh Raha Hai Ada-shanas Mujhe

baghaur dekh raha hai ada-shanas mujhe

bas ab zalil na kar ai nigah-e-yas mujhe

ye dil hai shauq mein be-KHud wo aankh nashshe mein chur

jhuka na de su-e-saghar bhaDakti pyas mujhe

udhar malamat-e-duniya idhar malamat-e-nafs

baDa azab hai aae hue hawas mujhe

palaT do baat na lo munh se nam ruKHsat ka

abhi se ghar nazar aane laga udas mujhe

jo multafit hain ye nazren badal bhi sakti hain

bana chuka hai zamana ada-shanas mujhe

(782) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Baghaur Dekh Raha Hai Ada-shanas Mujhe In English By Famous Poet Arzoo Lakhnavi. Baghaur Dekh Raha Hai Ada-shanas Mujhe is written by Arzoo Lakhnavi. Read famous Poem Baghaur Dekh Raha Hai Ada-shanas Mujhe for youth and Student by Arzoo Lakhnavi. Free Download Baghaur Dekh Raha Hai Ada-shanas Mujhe in PDF.