Ayan Hai Be-ruKHi Chitwan Se Aur Ghussa Nigahon Se
ayan hai be-ruKHi chitwan se aur ghussa nigahon se
payam-e-KHamushi aur wo bhi do do nashr-gahon se
wabaal-e-jaan hai aisi zindagi jis mein talatum ho
miTa lun hausle phir tauba kar lunga gunahon se
faza mahdud kab hai ai dil-e-wahshi falak kaisa
nilahaT hai nazar ki dekhte hain jo nigahon se
haqiqat mein nigahon se koi manzil nahin bachti
guzarte dekhe hain gosha-nashin tak shah-rahon se
tahi-dastan-e-qismat ko na lena tha na dena tha
hisab-e-zindagi kya hai ye puchho baadshahon se
hamein to jalte dil ki raushni mein aage baDhna hai
haTa do qumqume bijli ke na-hamwar rahon se
mere nalon ke sab shaki koi un ko nahin kahta
khurachte rahte hain jo zaKHm-e-dil KHuni nigahon se
pila do zahr-e-gham dil ko na chhoDe gar hawas-kari
gunah wo ek achchha jo bacha le sau gunahon se
hamin kuchh 'arzu' pher un ki baaton ka samajhte hain
jo haq-poshi mein sach ko jhuT karte hain gawahon se
(727) Peoples Rate This