Awwal-e-shab Wo Bazm Ki Raunaq Shama Bhi Thi Parwana Bhi

awwal-e-shab wo bazm ki raunaq shama bhi thi parwana bhi

raat ke aaKHir hote hote KHatm tha ye afsana bhi

qaid ko toD ke nikla jab main uTh ke bagule sath hue

dasht-e-adam tak jangal jangal bhag chala virana bhi

hath se kis ne saghar paTka mausam ki be-kaifi par

itna barsa TuT ke baadal Dub chala mai-KHana bhi

ek lagi ke do hain asar aur donon hasb-e-maraatib hain

lau jo lagae shama khaDi hai raqs mein hai parwana bhi

donon jaulan-gah-e-junun hain basti kya virana hai

uTh ke chala jab koi bagula dauD paDa virana bhi

ghunche chup hain gul hain hawa par kis se kahiye ji ka haal

KHak-nashin ek sabza hai so apna bhi begana bhi

husn o ishq ki lag mein aksar chheD udhar se hoti hai

shama ka shoala jab lahraya uD ke chala parwana bhi

KHun hi ki shirkat wo na kyun ho shirkat chiz hai jhagDe ki

apnon se wo dekh raha hun jo na kare begana bhi

daur-e-masarrat 'arzu' apna kaisa zalzala-agin tha

hath se munh tak aate aate chhuT paDa paimana bhi

(1034) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Awwal-e-shab Wo Bazm Ki Raunaq Shama Bhi Thi Parwana Bhi In English By Famous Poet Arzoo Lakhnavi. Awwal-e-shab Wo Bazm Ki Raunaq Shama Bhi Thi Parwana Bhi is written by Arzoo Lakhnavi. Read famous Poem Awwal-e-shab Wo Bazm Ki Raunaq Shama Bhi Thi Parwana Bhi for youth and Student by Arzoo Lakhnavi. Free Download Awwal-e-shab Wo Bazm Ki Raunaq Shama Bhi Thi Parwana Bhi in PDF.