Aaram Ke The Sathi Kya Kya Jab Waqt PaDa To Koi Nahin
aaram ke the sathi kya kya jab waqt paDa to koi nahin
sab dost hain apne matlab ke duniya mein kisi ka koi nahin
gul-gasht mein daman munh pe na lo nargis se haya kya hai tum ko
us aankh se parda karte ho jis aankh mein parda koi nahin
jo bagh tha kal phulon se bhara aTkheliyon se chalti thi saba
ab sumbul o gul ka zikr to kya KHak uDti hai us ja koi nahin
kal jin ko andhere se tha hazar rahta tha charaghan pesh-e-nazar
ek shama jala de turbat par juz dagh ab itna koi nahin
jab band huin aankhen to khula do roz ka tha sara jhagDa
taKHt us ka na ab hai taj us ka askandar o dara koi nahin
qattal-e-jahan mashuq jo the sune paDe hain marqad un ke
ya marne wale lakhon the ya rone wala koi nahin
ai 'arzu' ab tak itna pata chalta hai teri barbaadi ka
jis se na bagule hon paida is tarah ka sahra koi nahin
(968) Peoples Rate This