Aane Mein Jhijhak Milne Mein Haya Tum Aur Kahin Hum Aur Kahin

aane mein jhijhak milne mein haya tum aur kahin hum aur kahin

ab ahd-e-wafa TuTa ki raha tum aur kahin hum aur kahin

be-ap KHushi se ek idhar kuchh khoya hua sa ek udhar

zahir mein baham baatin mein juda tum aur kahin hum aur kahin

aae to KHushamad se aae baiThe to murawwat se baiThe

milna hi ye kya jab dil na mila tum aur kahin hum aur kahin

wada bhi kiya to ki na wafa aata hai tumhein charkon mein maza

chhoDo bhi ye zid lutf is mein hai kya tum aur kahin hum aur kahin

bargashta-nasib ka yun hona sona bhi to ek karwaT sona

kab tak ye judai ka rona tum aur kahin hum aur kahin

dil milne pe bhi pahlu na mila dushman to baghal hi mein hai chhupa

qatil hai mohabbat ki ye haya tum aur kahin hum aur kahin

yaksui-e-dil marghub hamein barbaadi-e-dil matlub tumhein

is zid ka hai aur anjam hi kya tum aur kahin hum aur kahin

dil se hai agar qaem rishta to dur-o-qarib ki bahs hi kya

hai ye bhi nigahon ka dhoka tum aur kahin hum aur kahin

sun rakkho qabl-e-ahd-e-wafa qaul aarzu-e-shaidai ka

jannat bhi hai dozaKH gar ye hua tum aur kahin hum aur kahin

(898) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aane Mein Jhijhak Milne Mein Haya Tum Aur Kahin Hum Aur Kahin In English By Famous Poet Arzoo Lakhnavi. Aane Mein Jhijhak Milne Mein Haya Tum Aur Kahin Hum Aur Kahin is written by Arzoo Lakhnavi. Read famous Poem Aane Mein Jhijhak Milne Mein Haya Tum Aur Kahin Hum Aur Kahin for youth and Student by Arzoo Lakhnavi. Free Download Aane Mein Jhijhak Milne Mein Haya Tum Aur Kahin Hum Aur Kahin in PDF.