ChoT Dil Par Lage Aur Aah Zaban Se Nikle

choT dil par lage aur aah zaban se nikle

dard uTThe hai kahan aur kahan se nikle

pyar hai us ko agar mujh se to anjam ye ho

ghar jale mera dhuan us ke makan se nikle

si liya hum ne to ulfat mein labon ko apne

ab kisi dard ki aawaz kahan se nikle

mujh ko marne ka nahin KHauf tamanna ye hai

ruh mahbub ki banhon mein yahan se nikle

chuk aankhon se hui hai yahi sach hai warna

koi ghayal na ho jab tir kaman se nikle

Thokaren kha ke bhi sambhle na zamane ki hum

hath malte hue chup-chap jahan se nikle

hum ko zarra hi samajhte the sitare lekin

ban ke hum chand 'arun' sare jahan se nikle

(752) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

ChoT Dil Par Lage Aur Aah Zaban Se Nikle In English By Famous Poet Arun Kumar Arya. ChoT Dil Par Lage Aur Aah Zaban Se Nikle is written by Arun Kumar Arya. Read famous Poem ChoT Dil Par Lage Aur Aah Zaban Se Nikle for youth and Student by Arun Kumar Arya. Free Download ChoT Dil Par Lage Aur Aah Zaban Se Nikle in PDF.