Ufuq Ke KHunin Dhundlakon Ka Subh Nam Nahin
ufuq ke KHunin dhundlakon ka subh nam nahin
qadam baDha ki ye sathi tera maqam nahin
abhi na de mujhe izn-e-bahaar ai saqi
abhi hayat sitaron se ham-kalam nahin
mila hai ab kahin sadiyon ke baad maston ko
wo mai-kada ki jahan koi tishna kaam nahin
na aarizon pe shafaq hai na gesuon mein shikan
ye subh-o-sham nahin mere subh-o-sham nahin
bahaar-e-dair-o-haram le ke kya karun naseh
ye qafile to abhi tak sahar-maqam nahin
qadam qadam pe hai darkar jahd-o-fikr-o-amal
ye zindagi hai sada-e-shikast-e-jam nahin
abhi to daman-e-shab mein sisak rahi hai sahar
baDhe chalo ki abhi saat-e-qayam nahin
(826) Peoples Rate This