Raqs-e-ashufta-sari Ki Koi Tadbir Sahi

raqs-e-ashufta-sari ki koi tadbir sahi

lo mere panw mein ek aur bhi zanjir sahi

imtihan is dil-e-pur-shauq ka karte rahiye

aur is jurm-e-wafa par koi tazir sahi

tan-o-dushnam se diwane na baz aaenge

koi ilzam sahi tohmat-e-taqsir sahi

hum to aawara-e-sahra hain hamein kya matlab

un ki mahfil mein junun ki koi tauqir sahi

har koi yusuf-e-kanan to nahin ban sakta

mera farda hi mere KHwab ki tabir sahi

qafile kitne hi manzil se bhaTak jate hain

hum musafir na sahi hum koi rah-gir sahi

nara-e-zulf-e-sanam shart-e-junun kya mani

dard ruswa hi sahi ishq jahangir sahi

(1014) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raqs-e-ashufta-sari Ki Koi Tadbir Sahi In English By Famous Poet Arshi Bhopali. Raqs-e-ashufta-sari Ki Koi Tadbir Sahi is written by Arshi Bhopali. Read famous Poem Raqs-e-ashufta-sari Ki Koi Tadbir Sahi for youth and Student by Arshi Bhopali. Free Download Raqs-e-ashufta-sari Ki Koi Tadbir Sahi in PDF.