Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_fe33cf8cd77e05c4ad283306b57ec733, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Nigah Tez Shuur-e-buland Rakhte Hain - Arshi Bhopali Poetry In English - Darsaal

Nigah Tez Shuur-e-buland Rakhte Hain

nigah tez shuur-e-buland rakhte hain

hum apna ishq bahut hosh-mand rakhte hain

hum apne sath dil-e-dard-mand rakhte hain

koi ho bazm use sar-buland rakhte hain

hamein gharaz nahin munim hai kaun hatim kaun

kulah-e-qais sar-e-arjumand rakhte hain

rafiqon tum hi nahin pasban-e-shart-e-wafa

ki hum bhi un se iradat do-chand rakhte hain

(821) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nigah Tez Shuur-e-buland Rakhte Hain In English By Famous Poet Arshi Bhopali. Nigah Tez Shuur-e-buland Rakhte Hain is written by Arshi Bhopali. Read famous Poem Nigah Tez Shuur-e-buland Rakhte Hain for youth and Student by Arshi Bhopali. Free Download Nigah Tez Shuur-e-buland Rakhte Hain in PDF.