KHulus-e-alfaz Kaam Aaya Nigah-e-ahl-e-fitan Se Pahle
KHulus-e-alfaz kaam aaya nigah-e-ahl-e-fitan se pahle
nawed-e-dil ne mujhe pukara sada-e-dar-o-rasan se pahle
wajud-e-charKH-e-kuhan se pahle qayam-e-dar-o-rasan se pahle
hamin the tere chaman ki zinat bahaar-e-husn-e-chaman se pahle
sukut-e-gham ki ada ada ko samajh saken kash ahl-e-alam
ishaara-ha-e-latif bhi hain jabin pe naqsh-e-shikan se pahle
bahaar-e-be-kaif kis liye hai gulon pe rang-e-shikast kyun hai
abhi to kitni hi bijliyan hain chaman mein tark-e-chaman se pahle
(754) Peoples Rate This