Falsafi Kis Liye Ilzam-e-fana Deta Hai
falsafi kis liye ilzam-e-fana deta hai
lafz-e-kun KHud meri hasti ka pata deta hai
ho gaya tark-e-marasim ko zamana lekin
aaj tak dil teri nazron ko dua deta hai
thartharaate hue hathon se dawa ke badle
chaaragar aaj na jaane mujhe kya deta hai
kuchh to hota hai hasinon ko bhi ehsas-e-jamal
aur kuchh ishq bhi maghrur bana deta hai
soz-e-ulfat se wo kam-maya-e-gham hai mahrum
aatish-e-dil ko jo ashkon se bujha deta hai
parda-dari bhi hai ek maslihat-e-KHas-e-jamal
shauq nazzare ki qimat ko baDha deta hai
zindagi de ke musibat mein hamein Dal diya
koi yun bhi kahin be-jurm saza deta hai
dar mil hi gai mansur ko waiz warna
kaun duniya mein mohabbat ka sila deta hai
hae us bekas-o-majbur ki qismat 'arshi'
sham se pahle hi jo shama jala deta hai
(843) Peoples Rate This