Aaghaz-e-ashiqi Ka Allah Re Zamana
aaghaz-e-ashiqi ka allah re zamana
har baat bahki bahki har gam walihana
wo sajda-ha-e-paiham wo un ka aastana
ai kash lauT aae guzra hua zamana
kaunain ki tawajjoh us be-ruKHi pe sadqe
honTon pe hai tabassum tewar muKHalifana
mujh ko na thi gawara apni shikast lekin
kya kahiye us nazar ka andaz-e-fatehana
sau bar dekh kar bhi yun muztarib hain nazren
jaise guzar gaya ho dekhe hue zamana
mahsus ho chali hain tanhaiyan unhen bhi
rakkhe KHuda salamat pindar-e-ashiqana
kya iKHtiyar apna majburiyon pe dil ki
mana ki mashwara hai naseh ka muKHlisana
phir chand aur sitare phaila rahe hain zulmat
ek teri yaad se tha raushan siyah-KHana
rabt-e-nigah-o-dil ko muddat hui hai 'arshi'
un ka mera taaruf ab tak hai ghaebana
(1174) Peoples Rate This