MaiKHane Pe Chhai Hai Afsurda-shabi Kab Se

maiKHane pe chhai hai afsurda-shabi kab se

saghar se gurezan hai KHud tishna-labi kab se

ai saya-e-gesu ke diwano batao to

mear-e-junun Thahri rahat-talabi kab se

chusa hai lahu jis ne barson mah-o-anjum ka

insan ka muqaddar hai wo tira-shabi kab se

ek hashr sa barpa hai zindan se bayaban tak

paband-e-salasil hai iza-talabi kab se

jis ke liye saz apna sar phoDte phirte hain

naghmon ki wo daulat hai sine mein dabi kab se

jo dar-o-rasan ko bhi KHatir mein nahin lati

tazir ke qabil hai wo be-adabi kab se

fursat gham-e-dauran se milti hi nahin 'arshad'

dil mein liye phirte hain mauj-e-inabi kab se

(729) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

MaiKHane Pe Chhai Hai Afsurda-shabi Kab Se In English By Famous Poet Arshad Siddiqui. MaiKHane Pe Chhai Hai Afsurda-shabi Kab Se is written by Arshad Siddiqui. Read famous Poem MaiKHane Pe Chhai Hai Afsurda-shabi Kab Se for youth and Student by Arshad Siddiqui. Free Download MaiKHane Pe Chhai Hai Afsurda-shabi Kab Se in PDF.