Dilon Se Yas-o-alam Ke Naqab Utaro To
dilon se yas-o-alam ke naqab utaro to
sahar bhi rup dikhaegi shab guzaro to
faza ke sine mein naghmon ke lai utaro to
usi ada se zara phir mujhe pukaro to
mere ghamon ke dhundalke bhi chhaT hi jaenge
tum apne gesu-e-shab-rang ko sanwaro to
kahan gae mujhe tarikiyon mein uljha kar
hayat-e-rafta ke lamho zara pukaro to
KHizan-rasida fazaon ko rooge kab tak
bahaar gosh-bar-awaz hai pukaro to
phir is ke baad sahar hi sahar hai ai 'arshad'
ruKH-e-hayat ke tewar zara nikhaaro to
(857) Peoples Rate This