Main KHak Chhanta Hun Aaftab Dekhta Hun
main KHak chhanta hun aaftab dekhta hun
harim-e-dasht mein KHushbu ke KHwab dekhta hun
hisar-e-ghair mein rahta hai ye makan-e-wajud
main KHalwaton mein bhi akasr azab dekhta hun
ye kya ki ahd-e-bahaaran mein har shajar be-barg
ye kya ki fasl-e-KHizan mein gulab dekhta hun
mere KHayal mein khilne lage hain zaKHm-e-firaq
tumhaare lutf-o-karam ka hisab dekhta hun
waraq waraq pe tere KHal-o-KHad hain aks-fagan
hujum-e-yas mein dil ki kitab dekhta hun
ye be-sabab to nahin gard-e-rahguzar 'nashad'
talash-e-ab-e-rawan mein sarab dekhta hun
(759) Peoples Rate This