Zamin Ki Kokh Se Pahle Shajar Nikalta Hai
zamin ki kokh se pahle shajar nikalta hai
wo us ke baad parindon ke par nikalta hai
shab-e-siyah mein jugnu bhi ek ghanimat hai
zara sa hausla andar ka Dar nikalta hai
ki buDhe peD ke tewar badalne lagte hain
kahin jo ghas ka tinka bhi sar nikalta hai
phir us ke baad hi deta hai kaam ki ujrat
hamare KHun se pahle wo zar nikalta hai
wazifa tujh ko batata hun ek chahat ka
jo qasr-e-zat se nafrat ka shar nikalta hai
kahani likhta hai aise ki us ka har kirdar
nikalna koi na chahe magar nikalta hai
main aise shaKHs se 'arshad' gurez kaise karun
fasil-e-dil mein jo dastak se dar nikalta hai
(708) Peoples Rate This