Nafi O Isbaat
us ka iqrar kar ke
use DhunDne chal paDa
shahr mein dasht mein
koh o dariya mein, main
muddaton mara mara phira
lekin us ka nishan
meri nazron se
ojhal tha ojhal raha
aaKHirash thak ke jab so gaya
main kisi moD par
to mere parda-e-KHwab par
ek tahrir mujh se
muKHatib hui is tarah
tera iqrar bilkul baja hai
magar yaad rakh
ek inkar bhi
juzw-e-lazim hai
mazkura iqrar ka
is liye ghair-mumkin hai takmil
tere is iqrar ki
jab talak
is ki buniyaad qaem na ho
juzw-e-inkar par
na-mukammal hai iqrar jab tak tera
ghair-mumkin ki pae tu us ka pata!
(747) Peoples Rate This