Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_3caaa5fa5ab6699c58cfdeaee013b59e, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Zamana Kuchh Bhi Kahe Teri Aarzu Kar Lun - Arshad Kamal Poetry In English - Darsaal

Zamana Kuchh Bhi Kahe Teri Aarzu Kar Lun

zamana kuchh bhi kahe teri aarzu kar lun

shab-e-siyah mein suraj ki justuju kar lun

mere KHuda mujhe taufiq sar-kashi dide

KHizan hai samne kuchh zikr-e-rang-o-bu kar lun

agar ho mujh ko mayassar kahin se koi kiran

to shab-darida hai jo kuchh use rafu kar lun

jo aankh khol dun sun kar zamir ki dastak

tu KHud ko apni nazar mein main surKH-ru kar lun

hua hai kitne dinon baad rabta qaem

ab apne aap se 'rashid' main guftugu kar lun

(951) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zamana Kuchh Bhi Kahe Teri Aarzu Kar Lun In English By Famous Poet Arshad Kamal. Zamana Kuchh Bhi Kahe Teri Aarzu Kar Lun is written by Arshad Kamal. Read famous Poem Zamana Kuchh Bhi Kahe Teri Aarzu Kar Lun for youth and Student by Arshad Kamal. Free Download Zamana Kuchh Bhi Kahe Teri Aarzu Kar Lun in PDF.