Samundar Se Kisi Lamhe Bhi Tughyani Nahin Jati
samundar se kisi lamhe bhi tughyani nahin jati
magar sahil ko gham hai KHushk-damani nahin jati
ghanimat hai meri aankhon ki ye sayyal aatish bhi
isi se mere zehn-o-dil ki tabani nahin jati
sawa-neze pe suraj der tak rukne nahin pata
magar kya hai ki teri shoala-afshani nahin jati
sada-e-KHamushi deti hai ab dastak dar-e-dil par
na jaane kyun hamare ghar se virani nahin jati
riha ho kar bhi kuchh tair qafas mein lauT aate hain
faza-e-qaid ki aadat ba-asani nahin jati
tamaddun ka naya jama bahut shaffaf hai yaro
ki tan-poshi karo kitni hi uryani nahin jati
jatan sare hi karta hun magar kya kijiye 'arshad'
meri KHuddari-e-fitrat hai diwani nahin jati
(842) Peoples Rate This