Fikr Soi Hai Sar-e-sham Jaga Di Jae
fikr soi hai sar-e-sham jaga di jae
ek bujhti si angiThi ko hawa di jae
kisi jangal mein agar ho to bujha di jae
kaise tan-man mein lagi aag daba di jae
talKHi-e-zist ki shiddat ka taqaza hai yahi
zehn o dil mein jo masafat hai ghaTa di jae
tirgi shab ki basi jae hai hasti mein meri
subh ko ja ke ye rudad suna di jae
ishq walon ki fughan zabt-e-fughan hoti hai
aashiq-e-waqt ko ye baat bata di jae
KHak-e-sahra to bahut dur hai ai wahshat-e-dil
kyun na zehnon pe jami gard uDa di jae
wo haqiqat jo nigahon se ayan hoti hai
kaise aadab ke parde mein chhupa di jae
(807) Peoples Rate This