Ai Dil Tere Tufail Jo Mujh Par Sitam Hue
ai dil tere tufail jo mujh par sitam hue
puchhe jo mujh se koi to kah dun ki kam hue
mere charagh-e-zehn ko wo gul na kar sake
haalanki sab andhere mere dil mein zam hue
harf-e-ghazab se bhi hamein mahrum kar diya
yun be-niyaz hum se hamare sanam hue
un ki zamin-e-dil ka to qissa hi aur hai
warna un aansuon se to sahra bhi nam hue
ahbab ne to raste DhunDe the muKHtalif
lekin sab aa ke meri hi rahon mein zam hue
rabt-e-dili se KHalq ko ab wasta kahan
ab to hama-shuma bhi asir-e-manam hue
'arshad' fasil-e-zehn mein baDhne laga jo habs
hum shahr-e-dil mein ja ke zara taza-dam hue
(829) Peoples Rate This