Unki Fitrat Usko Kahiye Ya Ki Fitrat Ka Usul

un ki fitrat us ko kahiye ya ki fitrat ka usul

Dub jate hain sitare aur bikhar jate hain phul

ek nazar ki kya haqiqat hai magar ai dosto

umr bhar ki maut ban jati hai ek lamhe ki bhul

hum to hain un mahfilon ke aaj tak mare hue

jin mein naghmon ki hai shorish jin mein zulfon ki hai dhul

aur jo kuchh bhi hai un ke darmiyan wo hai garan

zindagi arzan hai aur hai maut bhi sahlul-husul

aaj tak dahki hui sine mein hai aariz ki aag

dil mein ab tak chubh rahe hain un ki palkon ke babul

de rahe hain is tarah wo 'kakawi'-sahab ki dad

puchhte hain aap ke ashaar ki shan-e-nuzul

(652) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Unki Fitrat Usko Kahiye Ya Ki Fitrat Ka Usul In English By Famous Poet Arshad Kakvi. Unki Fitrat Usko Kahiye Ya Ki Fitrat Ka Usul is written by Arshad Kakvi. Read famous Poem Unki Fitrat Usko Kahiye Ya Ki Fitrat Ka Usul for youth and Student by Arshad Kakvi. Free Download Unki Fitrat Usko Kahiye Ya Ki Fitrat Ka Usul in PDF.