Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_a3b617633acfaa3a84ade80a5157702f, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Phir Chand Dinon Se Wo Har Shab KHwabon Mein Hamare Aate Hain - Arshad Kakvi Poetry In English - Darsaal

Phir Chand Dinon Se Wo Har Shab KHwabon Mein Hamare Aate Hain

phir chand dinon se wo har shab KHwabon mein hamare aate hain

phir rah-guzar-e-dil par kuchh qadmon ke nishan hum pate hain

kuchh raat gae kuchh raat rahe hum akasr ashk bahate hain

kya jaane aag lagate hain ya dil ki aag bujhate hain

ai dil ai KHushiyon ke madfan ai mere ghamon ke taj-mahal

le KHush ho teri ziyarat ko ehsas ke mare aate hain

is darja hue hum duniya se bezar ki zikr-e-ghair to kya

ab KHud se gurezan hain aur apne sae se ghabraate hain

manus hain gham se kuchh aise gar nind mein bhi hum ne 'arshad'

apne ko hanste dekh liya to dekhte hi Dar jate hain

(758) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phir Chand Dinon Se Wo Har Shab KHwabon Mein Hamare Aate Hain In English By Famous Poet Arshad Kakvi. Phir Chand Dinon Se Wo Har Shab KHwabon Mein Hamare Aate Hain is written by Arshad Kakvi. Read famous Poem Phir Chand Dinon Se Wo Har Shab KHwabon Mein Hamare Aate Hain for youth and Student by Arshad Kakvi. Free Download Phir Chand Dinon Se Wo Har Shab KHwabon Mein Hamare Aate Hain in PDF.