Ye KHaki Pairahan Ek Ism Ki Bandish Mein Rahta Hai
ye KHaki pairahan ek ism ki bandish mein rahta hai
zamana har ghaDi warna nai sazish mein rahta hai
isi bais main apna nisf rakhta hun andhere mein
mere atraf bhi suraj koi gardish mein rahta hai
main ek parkar sa sayyar bhi hun aur sabit bhi
jahan sara mere qadmon ki paimaish mein rahta hai
meri aankhon mein ab hai maujzan bas ret wahshat ki
samundar ab kahan palkon ki har jumbish mein rahta hai
supurd-e-ab yun hi to nahin karta hun KHak apni
ajab miTTi ke ghulne ka maza barish mein rahta hai
tasallut hai kisi ka jab se apni zat par 'sarim'
hamara dil bahut aaram-o-asaish mein rahta hai
(874) Peoples Rate This