PalaT Kar Dekhne Ka Mujh Mein Yara Hi Nahin Tha
palaT kar dekhne ka mujh mein yara hi nahin tha
nahin aisa ki phir us ne pukara hi nahin tha
samundar ki har ek shai par hamari dastaras thi
ki tughyani bhi apni thi kinara hi nahin tha
wo ek lamha saza kaTi gai thi jis ki KHatir
wo lamha to abhi hum ne guzara hi nahin tha
wo ban kar chand tab utra tha is dil ki zamin par
mohabbat ka jab aankhon mein sitara hi nahin tha
wara-e-jism tha kuchh aur bhi us ke jilau mein
faqat wo raushni ka istiara hi nahin tha
junun ke panw mein chhan kaisi dar aai ki main ne
abhi wahshat ko sahra mein utara hi nahin tha
(922) Peoples Rate This