Nit-nae Naqsh Se Baatin Ko Sajata Hua Main
nit-nae naqsh se baatin ko sajata hua main
apne zahir ke KHad-o-KHal miTata hua main
lahza lahza ye fida hoti hui mujh pe hayat
aur har aan nazar us se churaata hua main
jaane kis rut mein khilenge yahan tabir ke phul
sochta rahta hun ab KHwab ugata hua main
har ghaDi baDhti hui tishna-labi ishq tiri!
dil ke riste hue zaKHmon se bujhata hua main
roz hota hua mujh mein kisi KHwahish ka janam
roz hi qabr nai KHud mein banata hua main
rahraw-e-shauq! karo yun! mere pichhe aao
aao chalta hun tumhein rah dikhata hua main
ab kahan waise hain idrak ke lamhat nasib
yaad mein kho ke teri KHud ko wo pata hua main
aaj bhi yaad hain 'sarim' ko manazir sare
har ada par wo teri jaan se jata hua main
(753) Peoples Rate This