Kya Kahun Kitni Aziyyat Se Nikali Gai Shab
kya kahun kitni aziyyat se nikali gai shab
han yahi shab ye meri hijr bana li gai shab
pahle zulmat ka parastar banaya gaya main
aur phir meri nigahon se uTha li gai shab
raat bhar fath wo karti rahi ujiyaron ko
subh-dam apne andheron se bhi KHali gai shab
ta sada mujh mein rahen chand sitare raushan
meri miTTi mein tabiat se mila li gai shab
KHatm hota hi nahin silsila tanhai ka
jaane kis darja masafat mein hai Dhaali gai shab
fasl maqsud thi 'sarim' hamein suraj ki jahan
haif hai un hi zaminon pe uga li gai shab
(822) Peoples Rate This