Kya Kahun Kitna Fuzun Hai Tere Diwane Ka Dukh
kya kahun kitna fuzun hai tere diwane ka dukh
ek taraf jaane ka gham hai ek taraf aane ka dukh
hai ajab be-rangi-e-ahwal mujh mein maujzan
ne hi jine ki talab hai ne hi mar jaane ka dukh
toD Dala tha sabhi ko dard ke aazar ne
sah na paya tha koi kirdar afsane ka dukh
KHun ro uThti hain sab aankhen nigar-e-subh ki
banTti hai shab kabhi jo aaina-KHane ka dukh
shama bhi to ho rahi hoti hai har pal raegan
kyun faqat hum ko nazar aata hai parwane ka dukh
sar paTakti thin musalsal mauj-ha-e-tishnagi
honT ke sahil pe KHema-zan tha paimane ka dukh
loTta hai jab bhi sine par shanasai ka sanp
lahr uThta hai badan mein ek anjaane ka dukh
war deta hun main 'sarim' apni sab aabaadiyan
mujh se dekha hi nahin jata hai virane ka dukh
(1267) Peoples Rate This