Iztirab Aisa Hua Dil Ka Sahaara Mujhko
iztirab aisa hua dil ka sahaara mujh ko
koi Thahraw nahin KHud mein gawara mujh ko
sar uThati hai wo tajdid ki KHwahish mujh mein
naqsh-gar sochne lagta hai dobara mujh ko
main tahi-dast khaDa tha sar-e-sahra-e-hayat
aarzu ne teri yak-laKHt pukara mujh ko
ja pahunchna kisi rifat ko nahin hai dushwar
han! Thaharne ka wahan chahiye yara mujh ko
dekh ai meri zabun-haali pe hansne wale
waqt ki dhup ne kis darja nikhaara mujh ko
ek kankar sa mozahim mein rahunga kab tak
le hi jaega baha kar koi dhaara mujh ko
waqt ne jaane banana hai mujhe kya 'sarim'
gardish-e-chaak se ab tak na utara mujh ko
(814) Peoples Rate This