Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_82e4b4b9daee625735727a1a36dc7bf6, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Fana Hua To Main Tar-e-nafas Mein LauT Aaya - Arshad Jamal 'Sarim' Poetry In English - Darsaal

Fana Hua To Main Tar-e-nafas Mein LauT Aaya

fana hua to main tar-e-nafas mein lauT aaya

KHusha ki ishq teri dastaras mein lauT aaya

na jaane us ne khule aasman mein kya dekha

parinda phir se jahan-e-qafas mein lauT aaya

kisi ke jabr mein kitna tha iKHtiyar mujhe

bura kiya ki jo main apne bas mein lauT aaya

ye hashiye tere gumrah kar rahe the mujhe

kitab-e-zist so main tere nas mein lauT aaya

wo dil-KHarash tha aainda sal ka manzar

main ulTe panw guzishta baras mein lauT aaya

(854) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Fana Hua To Main Tar-e-nafas Mein LauT Aaya In English By Famous Poet Arshad Jamal 'Sarim'. Fana Hua To Main Tar-e-nafas Mein LauT Aaya is written by Arshad Jamal 'Sarim'. Read famous Poem Fana Hua To Main Tar-e-nafas Mein LauT Aaya for youth and Student by Arshad Jamal 'Sarim'. Free Download Fana Hua To Main Tar-e-nafas Mein LauT Aaya in PDF.