Do-chaar Sitare Hi Meri Aankh Mein Dhar Ja
do-chaar sitare hi meri aankh mein dhar ja
kuchh der to ai saat-e-shab mujh mein Thahar ja
ab aur sambhaali nahin jati teri hurmat
yun kar gham-e-jaanan meri nazron se utar ja
ta-umr tera naqsh-e-farozan rahe mujh mein
ek zaKHm ki surat mere mathe pe ubhar ja
chhoD aana wahin par zara aawara-mizaji
sahra ki taraf ai dil-e-nadan agar ja
ya ho ja tu dariya ki nigahon mein taraazu
ya tishna-labi sath liye jaan se guzar ja
jab zehn ko sunni hi nahin baat tumhaari
dil tu bhi rusumat-e-tahum se mukar ja
(893) Peoples Rate This