Aankhon Mein KHwab Rakh Diye Tabir Chhin Li
aankhon mein KHwab rakh diye tabir chhin li
us ne KHitab baKHsh ke jagir chhin li
gham ye nahin ki baKHt ne barbaad kar diya
gham hai to ye ki KHwahish-e-tamir chhin li
dastar-e-maslahat to yun bhi sar pe bojh thi
achchha kiya ki tum ne ye tauqir chhin li
ye kis ki bad-dua ki hai tasir ya-KHuda
jis ne meri duaon se tasir chhin li
qadr-o-qaza ka zikr kuchh is tarah se kiya
waiz ne nok-e-naKHun-e-tadbir chhin li
shohrat mili thi jurat-e-taqrir se jise
shohrat ne us se jurat-e-taqrir chhin li
but ban gaya to us ki nami KHatm ho gai
bhakton ne us ki KHak se iksir chhin li
andesha-e-itab se yar aur Dar gae
qatil se hum ne baDh ke jo shamshir chhin li
be-nutq thi to kahti thi kya kya na dastan
goyai ne to hairat-e-taswir chhin li
rahne laga hai wo baDa chup chup sa in dinon
'arshad' se kis ne shoKHi-e-taqrir chhin li
(807) Peoples Rate This