Ye Ji Mein Aata Hai Jal Jal Ke Har Zaman Naseh
ye ji mein aata hai jal jal ke har zaman naseh
ki aag le ke jala dun teri zaban naseh
na mana ishq-e-majazi se kar mujhe nadan
yahi hai baam-e-haqiqat ki nardban naseh
main tark-e-ishq-e-kamar yak-ba-yak karun kyunkar
samajh ke mujh ko nasihat karo miyan naseh
zalil hoga tu ek rose pand-e-beja se
tujhe KHarab karegi teri zaban naseh
KHuda ke waste bak bak ke mera maghz na kha
na tark hogi kabhi ulfat-e-butan naseh
baja-e-pand dilata hai husn par raghbat
hazar shukr ki paya mizaj-dan naseh
qubul itaat-e-pir-e-mughan badal karna
hamari tarah se hota agar jawan naseh
nasihat un ki kahani ki tarah sunta hun
main jaanta hun ki hai ek qissa-KHwan naseh
jahan hasin nazar aaya koi pise wahin hum
hamare sath phirega kahan kahan naseh
zaif ho ke samajhta nahin tajjub hai
karun shabab mein tark ulfat-e-butan naseh
karam kiya hai gham-e-ishq ne mere dil mein
main kis tarah na karun pas-e-mehman naseh
hum aap band kiya karte hain hazaron ko
hamare samne kholega kya zaban naseh
buton ka kalima paDhe tu abhi hamari tarah
kamal-e-ishq agar puKHta ho ayan naseh
main wo hun aashiq-e-diwana gar mujhe ki pand
ba-rang-e-jaib uDa dunga dhajjiyan naseh
kahin hamari tarah ye bhi phans gaya shayad
kuchh aaj-kal hai bahut hum pe mehrban naseh
'qalaq' na harf-e-nasihat zaban pe lae wo phir
jo sun le meri mohabbat ki dastan naseh
(873) Peoples Rate This