Ye Barik Unki Kamar Ho Gai
ye barik un ki kamar ho gai
ki nazron mein tar-e-nazar ho gai
paDa donon zulfon ka un ki jo aks
nazakat se dohri kamar ho gai
gale chaDhne masti mein maston ke munh
baDi duKHtar-e-raz ye niDar ho gai
wo ab kaT tegh-e-nigah ka nahin
kuchh aankhon par un ki nazar ho gai
mera naqd-e-dil mar baiThe hasin
ye daulat idhar se udhar ho gai
kiya un ke munh pe jo wasf-e-dahan
faqat ranjish is baat par ho gai
khuli KHwab-e-ghaflat se piri mein aankh
shab-e-naujawani sahar ho gai
lifafe par apna na likkha tha nam
KHata itni ai nama-bar ho gai
kiya hans ke sun kar sawal-e-visal
tumhein jurat ab is qadar ho gai
qadam rakhte hi khaDkhaDa mar richh
adu un ki zanjir-e-dar ho gai
ajal se koi kah de phir jae aap
masiha ko mere KHabar ho gai
na jhuTon bhi utna kisi ne kaha
shab-e-gham teri be-sahar ho gai
bure ya bhale haal guzri 'qalaq'
gharaz har tarah se basar ho gai
(753) Peoples Rate This